Mosam-e-Hijr mein yeh Barish ka barasna kaisa
Ek sehra se samandar ka guzarna kaisa
Ae mere dil na pareshaan ho tanha ho ker
We tere sath chala kab tha, bicharna kaisa
Log kehte hain gulshan ki tabahi dekho!
Main to veeran sa jungal tha, ujarna kaisa
Dekhne mein to koi dard nahi, dikh bhi nahi
Phir yeh aankhon mein aansuon ka ubharna kaisa
Bewafa kehne ki jurat bhi na kerna usko Faraz
Usne iqrar kiya kab tha, to mukarna kaisa

No comments:
Post a Comment