Sharafat soz tasveeron ki uryani nahi jaati
Adab ki aar mein Targheeb-e-Roomani nahi jaati
Khuda maloom Nasl-e-Nau ka kia anjam hona hay?
Watan se fuhash naghmn ki farawani nahi jaati
Azaab aye to us mein senkron ki jaan jaati hay
Nahi jaati to shetanon ki shetani nahi jaati
Kahin basti ki bastiboond paani ko tarasti hay
Kahin barish brasti hay to tughyani nahi jaati
Jahan ke zarray zarray se numaya hay Jalal US ka
Magar hum se KHUDA ki zaat pehchani nahi jaati
Zamana is qadar qayal hua hay Faiz jhooton ka
Jo sach kehte hain unki aik bhi maani nahi jaati

No comments:
Post a Comment