Pages

Search This Blog

Amazon Banner

Tuesday 11 October 2011

Wo bazahir jo zamaane se khafa lagta hay...

Wo bazahir jo zamaane se khafa lagta hay
Hans ke bole bhi to dunya se juda lagta hay

Aur kuch dair na bhujne de isy Rabb-e-Sahar
Doobta chand mera dast-e-dua lagta hay

Jis se munh pher ke raste ki hawa guzri hay
Kisi ujre hue aangan ka diya lagta hay

Ab ke sawan main bhi zardi na gai chehron ki
Aose mosam main to jungle bhi hara lagta hay

Shehar ki bheer main khulte hain kahan uske nooqoosh
Aao tanhai main sochen ke wo kya lagta hay

Munh chupae hue guzra hay jo ehbaab se aaj
Uski aankhon main koi zakhm naya lagta hay

Ab to Mohsin ke tasawwur main utar Rabb-e-Jaleel
Is udaasi main to pathar bhi khuda lagta hay...

No comments:

Post a Comment